Friday, November 23, 2012

awaaz


Tu fir wahin hai, mai fir wahin..
Jo kuch socha tha wo sapno ki deewaro pe tasveer banke rah gaya.

Kya wajah deke usse ab tujhe maangu duaao me?
Tujhse ab ajnabiyo ka rishta bhi kahan rah gaya!!

Par ab jo hai, wo na hi hota to behtar tha.
Kam se kam wo ummeed to na toot-ti,
aur na hi khul ke wapas ulajh jaati wo yaadein,
jinke sahare zindagi jeene chale the hum.

Ab dono ke beech na koi deewar hai,
na hi koi raah baaki bachi..
Agar kuch darmiya bacha hai to wo hai ek 'dil ki awaaz'.

Ek tere dil ki awaaz, jise tu khud sunna nahi chahti,
ek mere dil ki awaaz, jise tu apna nahi maanti.

Ek awaaz jo tere mere beech ki duriyo ki un khaiyo se aati hai,
jiski gehrai naapna na tere bus ki baat hai, na mere bus ki.

Ek awaaz jo sihar uthti hai, thodi si aahat se.
Ek awaaz jo thak ke choor hai, din bhar ki thakawat se.
Ek awaaz jo saakshi hai,mere jazbaato ki.
Ek awaaz jo tamanna hai, mere khayalato ki.

Wo ek awaaz jo agar aaye, to ye dooriyan simat jaayein.
Wo ek awaaz jo agar aaye.. to shayad tu meri ho jaye...


No comments:

Post a Comment