Sunday, September 02, 2012

birth of God




tere bina zindgi


Teri maujudgi meri subaho me na ho
to na sahi.
Ye kya kam hai, ki teri yaado ke saaye me hai
meri shaamein guzar rahin..

Muhpe tre apnepan ke ujaalo ki
syahi kaali hi sahi,
par meri tamannao me hai
teri pehchan ab bhi jee rahi..

Wo tere jazbat the
jo tere dil se nikle bhi nahi,
aur ye tere ehsaas hain
jo meri ruh se jaate bhi nahi..

Yun to tere bina bhi hai
zindgi me koi kami nahi.
Par tere bina ye zindgi,
zindgi bhi to nahi..


easy win


The easiest way to win any race is to keep on running, and the easiest way to keep on running is to never complain about the burden & hurdles in between.

ab bhi hu


Tujhse milne ki aas me,
fir wahi aa thehra mai,
mai un paagal diwano sa,,
teri jhalak ka pyasa tab bhi tha..
teri raah me baitha ab bhi hu...

Na to tab to tu aayi thi,
na hi ab hi tu aayi hai,
aur mai khaali banjaaro sa,,
tere sath ko tarsa tab bhi tha..
is pyar me tanha ab bhi hu...

Ab guzar rahe hain din yuhi,
aur guzar rahi hain shaamein bhi,
aur mai nakaam awaaro sa,,
teri aas me soona tab bhi tha..
tere intezar me zinda ab bhi hu... 


lesson..


I heard "Life teaches us something at every moment".
May be the moment just passed wants to taught me something,
but I didn't get what!!!


Saturday, September 01, 2012

raaste..


Kuch kadam the tere saath chale,
ye na socha tha, itne faasle ho jaenge,
ki duriyaan tay karna ab aasaan nahi,
aur gar ye kadam badhe to ye bhi lad-khadaenge..

kuch galtiyan hui is raah me,,
kuch maafiyan adhuri rah gayi...



na jane kyu


Rah gayi thi shaam jo tanha kuch aduri si
karti nahi wo baat na jane kyu,
mai ek tak dekhta rah jata hu usko
aur yun hi beet jati hai raat na jane kyu..

ek chehra jo kabhi khayalo me mila karta tha
ab khud saamne khada dekhta hai mujhko,
par dil se zuba ke raaste tak aate-aate
kahin thaher jate hain ye jazbaat na jane kyu..

wo ehsaas jo dil ke kisi kone me dafn the ab tak
bin bayaan kiye hi zaahir hain aaj,
par bheeg jaye jisme ye lamhaat kahi
bus yahin nahi barasti wo barsaat na jane kyu...